poems in urdu Mere wajood ka hissa bun chukay ho tum ab tumhe khud se alag sochon to ajeeb lagta hai |
urdu ghazals Teri yaad bohut ab anay lagi hai ek jaan hai ab wo janay lagi hy tanha tanha ab rehne laga hoon |
Aisa khamoshi ka alaam ho jaayega humare baad ke ho kar udaas parinday bhi tera shehar chod jayenge |
Baat hai ishq ki to phir behas na kar azeez maan pore wajood se usay chod de ya qabool kar |
Bewafai to rasm-e-dunya hai ghalib aap ne bhula ke konsa ehsaan kar diya |
Chalo phir dhoond lete hain usi nadaan bachpan ko unhe masoom khushyun ko unhi ramgeem lamho ko |
Daro dewaar pe hasrat si barasti hai janay kis dais gaye pyaar nibhaane walay |
Dil ko aadat si ho gayi hai toot janay ki ab kahan khuaf raha hy kisi ke inkar ka |
Door jakay bhi mere rooh mai mujood na reh to kabhi apni judai bhi to sehne de mujhe |
Hum bhi pholon ki tarah aksar tanha he rehte hain Kabhi khud se toot jaate hain to kabhi koi |
Kabhi khamosh betoge kabhi kuch gungonaoge mai itna yaad aongi mujhe jitna bhulaogay |
Kis ko ehsaas meri shidat-e-jazbaat ka hai meri halat meri wehshat ki khabar kisko hy |
Mai qabil-e-nafrat hoon to chorr de mujko wasi tu mujse yun dikhway ki mohabbat na kiya kar |
Mamool ban chuka hai mera raton ko jaagna neendain mere wajood ki ek shakhs le gaya |
Meri raton ki rahat din ka itminaan le jana tumhare kaam ajayega ye samaan layjana |
Neend se kya shikwa karon jo aati he nahi faraz qasoor to us chehre ka hai jo sone nahi deta |
So 100 Umeedain bandhti hai ek aik nigah pe humain na aise pyar se dekha kare koi |
Uski mohabbat bhi karaye ke ghar ki tarah thi jitna bhi sajaya magar apna na howa |
Wohi howa na tera dil bhar gaya mujse mai ne kaha bhi tha ye mohabbat nahi jo tum karte ho |
Zakham kitne teri chahat se mile hain mujko sochta hoon ke kahon tujse magar janay de |
No comments:
Post a Comment